अगर आप एक ब्लॉगर है Toh aapke liye ye post bahut jaroori hai. Is Post ko ध्यान से पढ़ें . Aapko is post me bataya jayega Blogger me Cus...
अगर आप एक ब्लॉगर है Toh aapke liye ye post bahut jaroori hai. Is Post ko ध्यान से पढ़ें . Aapko is post me bataya jayega Blogger me Custom Ads.Txt kya hai? Ads.Txt ko blogger me kaise add kare? Aur Adsene me ads.txt error ko kaise Fix kare. Aapko bata de ki, Google Adsense ke naye update ke baad, Sabhi Bloggers ko ek naya Notice aa raha hai. "Earnings at risk – One or more of your ads.txt files doesn’t contain your AdSense publisher ID” warning?" Bahut se bloggers ko ye notice aa raha hai. Agar ise fix nahi kiya gaya to bahut se bloggers ki Earning bhi band ho sakti hai.
Is Ek Notice ki wajah se Google Adsense ki earning stop ho gayi hai. ese me jald hi is error ko fix karna jaroori hai. Adsense ke naye update ke baad bahut se users ke Publisher ID change ho gayi hai. Aur agar aap ek blogger hai, to aapko apne blog me check karna hoga ki aapki adsense publisher ID, aapke adsense account se match kar raha hai ya nahi. Check karne ke liye aapko URL box me apne blog ke link ke sath /ads.txt likh kar enter press kare. (Example : Trickhubzone.blogspot.com/ads.txt). Agar aapki current publisher ID match nahi kar rahi hai. To aapko apne blog me naye publisher ID ko add karna hoga. To Chaliye ham sikh lete hai ki ads.txt kya hai. Aur ads.txt ko apne blog me kaise add kare.
Custom Ads.Txt Kya Hai ?
Agar main aapko ek simple language me bataun, To "Ads.Txt" Website Owner ke Adsense ka hi ek code hota hai. Jiski help se koi bhi ads owner ke website par dikhaya jata hai. Ads.Txt - jhuthi Ads placment protection, aur bahut se blogger kah rahe hai ki unke blog par accha traffic aa raha hai. Aur Ads par click bhi ho raha hai. Lekin uske bawajood bhi unhe Earning nahi aa rahi. Iska kaaran Ads.Txt ko apne blog me add na karna hai. Lekin agar aap Adsense ke liye apply, apne Blogger ke earning option se kiya tha to, Blogger khud hi ads.txt ko update kar deta hai. Check karne ka tarika maine upar aapko bata diya hai. Lekin agar aapke blog par ads.txt add nahi hai to, aap manual bhi ise add kar sakte hai.
Custom Ads.Txt Blogger Blog Me Add Kaise Kare ?
Sabse pehle aap apne Blog me Login ho jaye, Uske baad Settings me jaaye, Aur Niche bataye gaye steps ko follow kare:
1) Blogger Settings me jaye.
2) Uske baad Search Preference par jaye.
3) Ab sabse niche → Monetization ke option par Custom Ads.Txt dikhega.
4) Custom Ads.Txt by defaut disable hoga. Aapko ise Enable Karna hai.
5) Edit par click kare.
6) Uske Baad → ek box open hoga uske ander aapko ye code likhna hai.
google.com, pub-0000000000000000, DIRECT, f08c47fec0942fa0
7) pub-0000000000000000 - ke jagah par aapko apne adsense Publisher ID ko daalna hai
8) Uske baad Save chage par click kar dijiye.
ليست هناك تعليقات