Android Phone ko Root Kaise Kare Aaj ish tutorial me main aapko phone ko root karne ke bare me batane wala hun saath hi main aapko ...
Android Phone ko Root Kaise Kare
Aaj ish tutorial me main aapko phone ko root karne ke bare me batane wala hun saath hi main aapko ye bhi batane wala hun ki root kya hoti hai aur kab hume apne smartphone ko root karne ki jarurat aan padti hai.
Smartphone ko Root Karne ke Fayde aur Nuksaan
Phone ko root karne se pahle aapko pahle isko samjhna hoga aur ye bhi janna hoga ki root hai kya aur isse phone ko fayda kya hai. Sabse pahle main root ke fayde aur nuksaan ke bare me bataunga. Ise pahle samajhiye aur phir phone ko root kariye.
Advantage
Fully controlled by You : Smartphone ko root karne ke baad aap uske android ‘Os ko apne hisab se fully customize kar sakte ho aur saath hi iske interface ko pura tarah se change kar sakte ho basarte aap ko thodi bahut developing aani chahiye.
Non Removal Apps : Pahle se phone me installed apps ko uninstall kar sakte hai. Jab aap new phone buy karte ho to usme pahle se bahut sare useless apps installed hoti hai jo sirf phone ka space cover karti hahi. Root ki help se aap phone me pre-installed apps ko remove kar space free kar sakte hai.
Ad Free Phone : Har smartphone me ads show karne ke liye company alarm control app pre-installed kar ke deti hai jinhe aap chah kar bhi uninstall nahi kar paate hai par agar aapka smartphone rooted hai to aap ushe easily remove kar sakte hai.
Speed Up Phone Memory : Root ki help se aap apne phone ki ram ‘random access memory‘ ko thodi increase kar sakte hai aur phone ki speed ko double kar sakte hai par aisa aap tab hi kar paate hai jab aapko developing puri tarah se aati ho.
Disadvantage
Performance Issue : Phone ko root karne par iski performance par bahut asar padta hai phone puri tarah se slow work karti hai. Phone ki ‘ram’ agar 1Gb se kam hoti hai to root karne se pahle hume ek baar soch lena chahiye.
Phone Warranty : Phone ko root karte hi aap uski warranty bhi kho dete hai. Phone agar warranty period me hai to root nahi karna chahiye. Kisi tarah phone root karte samay dead hota hai to company aapke phone ki warranty ko valid nahi maanti hai.
Phone Rooting Kya Hai
Smartphone ko root karne se pahle aapko iske bare me janna bahut hi jaruri hai. Plays store par kuch applications hai jinhe hume phone par run karne ke liye root permission ki jarurat padti hai. Ish condition me aapko phone root karne ki jarurat hoti hai.
Agar aap ‘marshmallow’ se niche ki android Os ka use kar rahe hai to root ki help se aap apne android Os ko fully customize kar sakte hai lekin aisa aap tab hi kar paate hai jab aapka phone rooted hota hai.
Kingroot App se Phone ko Root Kaise Kare
Phone ko root karne ka sabse easy tarika hai ki aap kisi rooting app ki help le. Main aaj aapko kingroot ki help se phone ko root karne ke bare me bataunga jise ki aap follow kar easily ‘without pc’ phone ko root kar sakenge.
Step 1 : Sabse pahle apne smartphone me kingroot application ko download kariye.
Step 2 : Ab ishe apne smartphone me install kariye aur app ko open karne ke baad ‘Get now’ button par tap kariye. (Process complete hone tak aapka phone data on hi rahna chahiye)
Step 3 : Get now button par tap karte hi phone ‘root hona shuru ho jayega aur jab process 100% complete hoga tab aapka phone fully rooted ho chuka hoga.
Itna hote hi aap apne phone me root access kar payenge. Kingroot application ke saath saath aapko ek purifier app bhi milti hai aap ish app ka use apne phone ki speed ko optimize karne me kar sakte hai. Phone root hui ya nahi check karne ke liye koi root permission wala app install karke dekhiye.
Note : Root karne ke baad agar phone slow work karne lage aur aap phone ko unroot karna chahe to application ko uninstall nahi kariye balki kingroot app >> general settings >> uninstall kingroot me jakar app ko uninstall kariye.
Smartphone ko unroot karne ka ye sahi tarika hai agar aap soch rahe hain ki app ko uninstall kar dene se phone unroot ho jayega to aap ye galat soch rahe hai. Phone ko unroot karne ke liye app se hi unroot karna hota hai.
Post pasand aayi to ishe social media me aur apne dosto ke saath jarur share kariye.
No comments