Online Pan Card Kaise Banaye ? Hi Dosto Aaj Mai Aapko Pan Card Ke Details Ke Baare Me Bataunga. Aapko Fifty thousand se upar bank transa...
Online Pan Card Kaise Banaye ?
Hi Dosto Aaj Mai Aapko Pan Card Ke Details Ke Baare Me Bataunga. Aapko Fifty thousand se upar bank transaction karne ke liye aapko PAN card (Permanent Account Number) ki jarurat padti hai. Sirf transaction hi nahi balki Income Tax return file karne ke liye bhi pan card ki jarurat hoti hai. Demonetization ke baad Pan card ko har Bank account Holder ke liye jaruri kar diya hai.
Pahle ke dino me pan card banana aasan nahi tha pahle pan card banane me logo ko bahut pareshani hua karti thi par ab pan card online banayi jati hai aur koi bhi ishe ghar baith kar hi online pan card bana sakta hai. Pan card ke liye online apply karne ke liye aapko 107 rupaye govt ko pay karna hota hai aur wo aap debit card ke jariye kar sakte hai.
What is a PAN card ( पैन कार्ड क्या है)
Pan ( Permanent Account Number) Ek 10 digit alphanumeric number hoti hai jo ki income tax department ki aur se taxpayer ko provide ki jati hai. Pan card ko bank me money transaction ke liye Use ki jati hai. Sabhi banks me transaction ki Limit hoti hai jo ki 50k tak hoti hai aur Isse upar money transaction karne ke liye apko pan card ki jarurat padti hai.
Pan Card Banane Ke Liye Kin Documents Ka Hona Jaruri Hai
- Photo ID Proof : Pan Card banane ke liye aapko photo ID proof ki jarurat padti hai. In case agar aapke paas Photo ID Proof nahi hai to aap Aadhaar Card or Voter ID ka use kar sakte hai.
- Address Proof : Isme aapko address proof ki bhi jarurat hoti hai agar wo bhi nahi hai aapke paas to aadhaar card ka use kar sakte hai.
- Proof Of Birth Date : Pan card ke liye online application fill karne ke liye Birth Certificate ki bhi jarurat padti hai. Agar aapke paas birth certificate nahi hai to Isme bhi aap aadhaar card ka use kar sakte ya voter ID.
- Digital Signature : Pan Card apply karne ke liye aapko Digitak Signature bhi chahiye hoti hai Jo ki aap White paper par apna signature kar computer par scan karke rakh sakte hai.
How To Apply Online For Pan Card (पैन कार्ड के लिए ऑनलाइन अप्लाई कैसे करे)
Steps start karne se pahle apne paas debit card rakh lijiye.Step 1 : First TINOITD website par jaiye aur Apply For Pan tab par click kariye.
Step 2 : Then application for citizen wale tab me apply button par click kariye.
Step 3 : Now ! ek registration form open hogi ab aapko us form ko apne Information Details ke saath fill karna hai. Form me kya bhare ye sab janne ke liye niche Image ko dekhiye aur image ke niche di hui points ko read kariye aapko ache se samjh me aayega.
- Application type me New pan – Indian Citizen (Form 49) select kariye.
- Categories me Individual select kariye.
- Agar aap Male ho to Shri or Female ho to Smt select kariye.
- Apna Last, First aur Middle name enter kariye.
- Date of birth according to Birth Certificate enter kariye.
- Apni email id enter kariye.
- Phone number enter kariye.
- Captcha Code enter kariye.
- Finally Submit button par click kariye.
Step 4 : Submit button par click karte hi ek aur webpage open hogi aur usme aapka token number hoga. Token number ko notepad me likh le aur phir Continue with Pan application Form me click kariye.
Step 5 : Next ! ab ek final Form open hogi Jisme aapko 4 section me form ko fill up karna hai ab aap one by one har ek section ko sahi se fill up kariye.
Form Section 1 – Personal Details
- Submit scanned through E sign me CDAC (E-sign) select kariye.
- Apna aadhaar number aur naam enter kariye.
- Personal details fill up kariye aur registration number ko empty hi rahne dijiye.
- Aapka koi other name hai agar han to yes karke naam enter kariye aur agar nahi hai to No hi rahne dijiye.
- Apne Mom and Dad ka naam enter fill up kariye.
- Finally Next button par click kariye.
Congratulation ! aapne successfully pan card banane ka First form section ko fill up kar liya hai ab aapko sirf 3 section hi fill up karni hai. Next section me aapko address aur apni income report Share karni hai.
Form Section 2 – Contacts And Other Details
- Apni source of income select kariye.
- Aap apni Pan card kaha receive karna chahte hai agar Ghar par to Residence select kariye.
- Apna Living address fill up kariye.
- Apne office ka address fill up kariye.
- Apna phone contacts and digital email details fill up kariye.
- Representative Assess me No select kariye.
- Then next button par click kariye.
Form section 3 – AO Details
- Indian Citizen select kariye.
- Apna state select kariye.
- City select kariye.
- Ab Isme apne area ka AO code select kariye.
- Then next button par click kar dijiye.
- So Guys ! finally aapne teeno section ko sahi tarike se fill up kar liya hai ab aapko final section me apni Photo ID or aadhaar ID upload karni hai aur saath hi declare kar form ko submit karna hai.
Form Section 4 – Documents Details
- Apni photo ID proof upload kariye. ( Agar aapke paas photo ID proof nahi hai to isme adhaar card bhi upload kar sakte hai.)
- Proof Of Address certificate upload kariye. ( Agar yah proof bhi nahi hai aapke paas me to aadhaar card upload kar sakte hai.)
- Birth certificate upload kariye. ( Agar ye bhi aapke paas me nahi hai to aadhaar card upload kar sakte hai.)
- Place fill up kariye.
- Date of birth verify kariye.
- Ab finally sare details ko review karke submit button par click kariye.
Step 6 : Friends ! ab aapka next step hai 107 rupaye ka payment karna. Ji han submit button par click karte hi aapko aapse payment ke liye bola jayega tab aap payment karke Acknowledge slip ko download kar le.
Acknowledge Slip aapko payment karne ke baad hi milti hai. Yeh aapke pan card ko online banane ke liye bahut hi jaruri hai isliye Slip ko download karke iska ek color print nialwa lijiye.
Step 7 : Ab aap Acknowledge Slip aur apne photo ID proof ke saath apni najdike PAN card center jaiye aur waha ye slip submit karwa dijiye.
Pan Card center har city me available hai aur ye aapke city me bhi available hai. Apne area ka pan card center janne ke liye ish website par ja sakte hai – Know Your PAN Centers !
So friends ! itna karne ke baad aapka pan card online banne ke liye submit ho jayega. Ab aapko kuch din tak wait karna hai Generally pan card banne me Maximum 30 days tak ka waqt lagta hai phir bhi agar aap bich me chahe to ek SMS kar Pan card status ka pata kar sakte or online bhi acknowledge number enter karke apne pan status pata kar sakte hai.
Netell.net is telecom company that provide services about recharge mobile with bitcoin. promotional offers and use bitcoins optionin redeem cryptocurrency funds online cheap plans in the world.
ردحذفhttps://www.netell.net/