Uc News Par Account Kaise Banaye (Register Uc News) - Free Recharge Tricks-Unlimited Paytm ,Free 3G 4G Tricks

Page Nav

HIDE

Breaking News:

latest

Uc News Par Account Kaise Banaye (Register Uc News)

Uc News Par Account Kaise Banaye (Register Uc News) Uc news se Aap ghar baithe lakho rupay kama Sakte Agar aap Online money earn kar...

Uc News Par Account Kaise Banaye (Register Uc News)


Uc news se Aap ghar baithe lakho rupay kama Sakte Agar aap Online money earn karna chahte hai to Uc news se acha koi platform aapke liye ho hi nahi sakta hai.


uc-news

Uc web ka uc news program bahut hi badhiya hai Ish program se aap har mahine 1M or usse bhi jyada earn sakte hai aur ye sab aapke hard work par depend karti hai.

Uc news me aap sirf paise hi earn nahi kar sakte hai balki iska use aap apne website ko promote karne me bhi kar sakte hai Ye aapko aap hi ki website ko promote karne ke liye aapko hi pay karti hai.

Agar aap ek blogger hai or aapke pass ek website hai to aap apne website ke article uc news par publish kar sakte hai Is program me aapko apne article ki SEO karne ki jarurat nahi hoti hai balki uc browser par jiski title sabse best hoti hai unki news top par show ki jati hai.

Uc News Kya Hai

Uc web ka hi ek program Uc news hai Ishe Uc browser me news show karne liye banaya gaya hai par aaj iski ek alag android or ios app hai Isme aap khud ka article publish kar sakte hai aur logo tak apni news pahucha sakte hai.

Uc News Program Use Karne Ke Fayde Kya Hai

Uc web news me aap free me register kar bina koi investment kiye paise kama sakte hai Ye aapko fully free service provide karti hai Ispar account create karna bhi bahut hi easy hai aur bina kisi website ke aap isme sign up bhi kar sakte hai.

Iske kuch Benefits niche maine aapko bataye hue hai inhe ek baar aap jarur read kariye –

  • Uc browser ke 10 Million active users sirf india me hai ishliye agar aap koi news publish karte hai to aapko uska turant result milta hai aur sabhi users tak aapki post share kari jati hai.
  • Ispar aap apne website ke article bhi publish karke apne website par traffic increase kar sakte hai.
  • Uc news ka koi bhi article google crawl nahi karta hai ishliye copyright ki koi problem aapko nahi hogi.
  • Uc web news sign up karne ke baad jab aapka account approve hota hai uske thik 7 din baad aap monetization on kar sakte hai aur apne article se earning kar sakte hai.
Iske aur bhi bahut sare benefits hai agar aap uc news program ka use karte hai to isme aapko benefits hi benefits milti hai isme aap kuch bhi nuksan nahi hota hai.

Uc News Par Account Kaise Banaye (Register)

Uc News Par Account banana bahut hi easy hai Agar aapke pass ek website hai to aap uska use isme account banane me kar sakte hai or agar aapke pass website nahi hai to email ID ke jariye isme register kar sakte hai

Sign up ke baad Uc web account approve hone me 25-30 din tak lag sakte hai aur wo aap ki website par depend karti hai Email se approval pane ke liye isme kam se kam 40-45 din tak lag sakta hai par approval mil jati hai.

  • Uc web news par account banane ke liye sabse pahle mc.ucweb.com me jaiye.
  • Ab top right side me Sign Up button par click kariye
uc-news sign up

Ab ek web page khulegi jispar aapko apna registered email id enter karna hai aur apne Uc web account ka password enter karna hai.

Enter-email-and-password-1

  1. Apna email id enter kariye.
  2. New password enter kariye.
  3. Password confirm kariye.
  4. Invitation code me 408341 enter kariye.
  5. Captcha enter kariye.
  6. Ab terms and condition read karke continue par click kar dijiye.
Continue par click karte hi aapke Gmail par ek confirmation link send kar di jayegi Ab aap apna mail ID open kariye aur us link par click kariye.

Go-and-check-mail

Finally Link par click karte hi ek aur page open hogi Ab isme aapko apna naam or pan card ki jankari bharni hai.

Final-uc-web-form

  1. Channel ka naam jo rakhna chahte hai bhariye.
  2. Account type personal select kariye.
  3. Aap uc web news me kis chij ke bare me jankari share karne wale hai Categories select kariye.
  4. Yaha ab apna real naam bhariye jo aapke pan card naam se match karna chahiye.
  5. Apna pan card ka number enter kariye.
  6. Phone number enter kariye.
  7. Aap kya kaam karte hai agar padhai karte hai to student likhiye ya job karte hai to employe likhiye.
  8. Apne website ka URL yaha enter kariye or aapke pass khud ka website nahi hai to apni mail ID enter kare.
  9. Agar aapke paas Service Tax Card hai to uska number yaha enter kariye ya ishe blank hi rahne dijiye.
Finally ab agreement me tick karke Continue button par click kariye Continue button par click karte hi aapka form submit ho jayega aur aapka account review ke liye pending ho jayega.

Ab aapko wait karna hai apne account approval ka Account ko approve hone me Generally  25-30 days lagte hai par wo depend karti hai aapke website ke upar Waise website ki jagah aapne apna email address enter kiya hai to wo bhi 30-40 din me approve ho jayegi.

Jab aapka Uc news account approve ho jaye tab aap usme post publish kar sakte hai par monetization aap 7 days baad enable kar sakte hai Aapko bata du ki Uc news se paise kamane ke liye monetization enable karna jaruri hota hai aur wo aap account approve hone ke 7 din baad kar sakte hai.

ليست هناك تعليقات