Aapne sayad kabhi gaur kiya ho ki jab aap apne blog ko http:// ke saat open karte hai to aapka blog open ho jata hai. Par agar aap https:...
Aapne sayad kabhi gaur kiya ho ki jab aap apne blog ko http:// ke saat open karte hai to aapka blog open ho jata hai. Par agar aap https:// ke saath open karte hai to open nahi hoti hai. Esa kyun hota hai. Google apne sabhi product par https:// lagaye huye hai. Aur aapko bata dun ki https:// jyada secure hota hai http:// se mukaable me. To dosto, agar aap bhi apne blog me https:// enable karna chahte hai to niche bataye gaye steps ko follow kijiye.
Blogger Custom Domain Me HTTPS Enable Karne Ke Fayde [Benefits]
1) Blog Aur Jyada Professional Ho Jayega.
2) Blog Aur Jyada Secure Ho Jayega.
3) Blog Ki Ranking me Sudhaar Hoga.
4)Blog, Google aur sabhi Search Engine me jaldi Rank Karega.
5) HTTPS aapke Website ki Serp Ranking Increase karti hai.
Blogger Custom Domain Me Free SSL HTTPS Enable Kaise Kare ?
1) Sabse pehle aap apne Blog ke Dashboard par jaaye.
2) Setting par jaaye.
3) Basic ke Option par click karen.
4) Ab HTTPS Availability ko Yes kare.
5) Ab kuch minute baad aapka HTTPS enable ho jayega.
6) Kuch minute wait karne ke baad aapko niche HTTPS Redirect wale option ko bhi Yes karna hai.
7) Ab aapka HTTPS puri tarah se enable ho gaya hai. Ab aap apne blog ko open kar ke check kar sakte hai.
No comments