Youtube Se Computer Ki Screen Record Kaise Kare Bina Kisi Software Ke - Free Recharge Tricks-Unlimited Paytm ,Free 3G 4G Tricks

Page Nav

HIDE

Breaking News:

latest

Youtube Se Computer Ki Screen Record Kaise Kare Bina Kisi Software Ke

Computer ki screen record karna simple bat hai. Aap kisi bhi screen recorder isntall karke computer ki screen record kar sakte hai. But ag...

Computer ki screen record karna simple bat hai. Aap kisi bhi screen recorder isntall karke computer ki screen record kar sakte hai. But agar bat ho bina kisi software ke desktop screen record karne ki to har koi iske bare me janna chahata hai. Aap YouTube ke sath apne desktop ki screen record kar sakte ho or use YouTube par bhi upload kar sakte ho without any desktop software.


Youtube Se Computer Ki Screen Record Kaise Kare Bina Kisi Software Ke
Aap apne blog ke liye video banane ke liywe bahut se desktop screen recorder software use karte ho. But kya aapko pata hai ki aap bina kisi software ke bhi apne laptop computer ki sreen record kar sakte ho or use YouTube par upload karke earning bhi kar sakte ho.

Jab aap ek video apne blog or site ke liye banate hai tab use record karne ke liye aapko desktop screen recorder software ki jarurat padti hai, Kuch screen recorder software computer me sahi se screen ko capture nahi kar pate hai aur screen bich bich me kahi cut si jati hai, sabke saath aisa nahi hota hai jinke computer me processor aur Ram kam hote hai unhi ko ye problem face karni padti hai lekin agar aap youtube screen recorder ke saath apne pc ki screen ko record karte hai tab wo sahi se aapke computer screen ko resolution maintain karke screen ko capture karti hai.

Youtube Se Computer Desktop Ki Screen Record Kaise Kare Bina Kisi Software Ke

Step 1:

  • Sabse pahle aap YouTube.com par jaye or sign in kare. (Aap YouTube par apne google account se hi sign in kar sakte hai. Agar aapke pas google account nahi hai to pahle ye post padh kar google account bana le google gmail par account kaise banaye)
  • Ab right side me upar upload button par click kare or uske bad “LIVE STREAMING” par click kare. Agar aap ye pahli bar kar rahe ho to iske liye aapko YouTube par apne mobile number verify karne honge.


LIVE-STREAMING

Step 2:


Ab aap create event page par pahuch jaoge. Yaha par aapko apne screemcast video ko ka title and privacy set karni hai.

  • Events par click kare.
  • Apne video ko koi name de.
  • Yaha par private select kare. Jisse aapke edit video ko koi or na dekh paye. Isse aap complete edit karke publish kar sakte ho.
  • Go live now par click kare.

LIVE-STREAMING-Settings

Step 3:

Ab google hangouts ka pop up page khulega. Yaha par aapko camera icon par click karke webcam recording off karni hai. Sath hi agar aap voice record nahi karna chahate hai to  microphone icon par click karke audio recording bhi and kar sakte ho.

  • Ab rigt side me screenshare button par click kare.
  • Ab aapko jo bhi screen record karni hai. Uski windows choose kare.
  • Finaly share par click kare.
Step 4:

Ab aap video manager par jaye. Yaha par aapko apni record ki gayi video mil jayegi. Ab aap ise download karke kisi bhi video editer se edit kar sakte ho. Ya fir direct ayse hi YouTube par publish kar sakte ho. Iske liye aapko bas video par select karke action par click kar publish select karna hai.

Youtube ne Screen Recording ki feature apne Channel me Live streming ke liye suru ki hui hai lekin aap isse apne desktop ka video capture bhi kar sakte hai isme shoot ki gayi video 720P HD quality me hoti hai but ise aap video Manger se edit karke Low quality ka bhi bana sakte hai aur use edit kar upload kar sakte hai.

Toh ummid hai dosto apko hamari ye jankari pasand aayi hogi agar aapko youtube se desktop screen record kaise kare uske bare aur jankari chaiye ya iske bare apna koi openion dena chahte hai to wo aap hame comment ke through de sakte hai aur han hamari post pasand aayi to ise social media aur apne dosto ke saath jarur share kariye.

ليست هناك تعليقات