Apne Blogger Ke Blog Ko SEO Friendly Kaise Banaye - Free Recharge Tricks-Unlimited Paytm ,Free 3G 4G Tricks

Page Nav

HIDE

Breaking News:

latest

Apne Blogger Ke Blog Ko SEO Friendly Kaise Banaye

Hello Dosto, Agar aap bhi new Blogger hai aur apke Blog par Traffic nahi aa rahi hai. To ab aapko pareshan hone ki jaroorat nahi hai. Aa...

Hello Dosto, Agar aap bhi new Blogger hai aur apke Blog par Traffic nahi aa rahi hai. To ab aapko pareshan hone ki jaroorat nahi hai. Aapko Sabse Phele apne blog ko seo karna hoga. SEO matlab (Search Engine Optimization)  SEO hamare Blog ki Traffic ke liye bahut important role play karta hai. Blog ke Traffic aur Search Result me aapki ranking Top par karne me SEO sabse main role play karta hai. Jin post ke Title me acche Keyword hote hai wo Search Result me First Page par apna place bana leti hai aur aapke Blog par adhik se adhik traffic laane me aur page views badhaane "Improve Blog Traffic"  main help karta hai.


Apne Blogger Ke Blog Ko SEO Friendly Kaise Banaye


SEO bahut hi Important hota hai kisi bhi Blog ke liye, isme ek choti si galti blog ki ranking ko bahut niche le ja sakti hai.

Blog Post Ko SEO Friendly Banane Ke Tips :-

Post Ki URL Link - Parmalink

Dosto, Post ko search engine ranking me laane ke liye, post ki URL link yaani Parmalink - bahut hi aham role nibhati hai. Lekin Parmalink ko use karne ka bhi ek rule/tarika hota hai, jinhe aap follow karke apne blog ke post ki ranking ko aur bhi increase kar sakte hai. :-

Parmalink 50 Characters se jyada ki nahi honi chahiye.
Post ke Title me Stop Words Nahi hone Chahiye. (E.g. - A, An, The, Etc.)
Parmalink me kam se kam ek Keyword jaroor honi chahiye.

Use Keywords in Post

Keywords bhi bahut Important hote hai post ke ranking ke liye. Aap ko bata den ki Search Engine, Keywords par sabse jyada dhyaan dete hai. Jis post me acche keyword hote hai us post ko search engine sabse pehle rank karta hai. Isliye dosto, Post likhte samay, Post se related popular keywords ko jaroor use karen.


Lekin ek post me ek hi keyword ko 10 baar se jayada use na karen. Aur ek jaroori baat - Post me wahi keyword use karen jo post title se related ho. Kyunki Search Engine, Keyword se post ko jaldi Index yaani Rank karta hai.

Blog Or Blogspot Label

Dosto, Agar aap ko blog label ke baare me nahi pata to main aap sabhi ko bata dun ki Label, ek post ko dusri post se jodhne ka kaam karti hai. Blog Label ko Tags bhi kehte hai. Post likhte samay hamesha yaad rakhe ki 1 ya 2 Label (Tags) jaroor Add karen. Aap apne blog ke har post me 1 se 3 Label add karte hai, to visitors aapke post me select lebel se aur bhi post padh sakte hai. Isse hota ye hai ki koi bhi users aapke blog label par click karke asani se dusri post ko bhi padh sate hai. Aur aapki blog ki traffic bhi increase ho sakti hai.
Facebook like and share buttons को ब्लॉगर में कैसे Add करें

 Related Posts

Dosto hame har post me kam se kam 2 se 4 related post ke link jaroor add karne chahiye. Aapne aksar dekha hoga dusro ke blog me 4 - 5 related post hoti hai. Jitne bhi popular blogger ye successful bloggers hai wo sabhi apne post me ese use karte hai. agar aap apne blog ke post me related post add nai karte, to aaj se hi ese use karna start kar dijiye. Kyunki jab user koi post open karke padhta hai to visitors ko wahin par related post dikh jaate hai. Visitors ko ek post se dusre post par le jaane ke liye sabse accha tarika hai.


Popular Post Ke Title

Aap ko bata den ki Search Engine Ranking ke liye aur Blog ki Traffic badhane ke liye ye sabse accha tarika hai. Aap ese Topics par Post likhen jo Search Engine me sabse jyada search kiye jaate ho.
Apne Blogger पर Hoverable Back/Scroll कैसे जोड़ें

Image Customization

Aape Blog ke har ek post me kam se kam ek Image to jaroor honi chahiye. Kyunki Search Engine Sabse pehle Image ko Rank ye Index karta hai. Image ko Customize karke hi upload karen, jisse ki post jaldi open ho. Aapki har post Image me Title Tag & Meta Tag (Attribution) jaroor hone chahiye aur Image ki size hamesha customize karke hi upload karen. Yaad rakhen ki Image ki size 15kb se jyada na ho.

Meta Tags Description

Dosto, Meta Tag Description bahut Important hota hi post ko search engine me rank karane ke liye. Isliye Har post me Meta Tag Description jaroor likhen. Post likhte samay right side me Search Desription ka option milta hai, Meta Tag Description yahin par likhna hota hai.
Agar aapke post me Search Desription ka Option nahi aa raha hai, to setting me jaa kar ese Enable karen. Search Description me 160 words me post ke baare me likhen. Yaad rakhen ki search desription 160 words se jyada ka nahi ho kyunki isse jyada hone par search engine aapke post ko ignore karega aur use rank nahi karega.

Other Related Post Links

Aap Apne har post me kam se kam 4 se 5 dusri post ke link jaroor add karen. Isse Visitors ko aur bhi post asani se padhne ko mil jata hai. aapko bata den ki har ek popular blogger aur successful blogger ise follow karta hai. Ise follow karne se aapko kitna benefit hoga ye sayad detail me batane ki jaroorat nahi hai, aap khud hi samajh sakte hai.



Post Comment Section

Comments ke through bhi post ko search engine rank karta hai. Sayad aapko pata nahi hoga ki BlogSpot yaani Blogger ki bhi Total Comments, SEO Friendly hoti hai. Ese me agar koi bhi user aapki post ki comment se related word bhi search engine me search karta hai to bhi aapki post search result me aayegi. Bahut se Blooger post ke comments ko Off karke rakhte hai, Jo ki SEO ke liye bilkul galat hai. Comment ek Free aur Accha tarika hai post ko jyada SEO Friendly banane ka. Isliye main aapse insist karunga ki ese Enable jaroor rakhen.

Request to Visitors

Dosto aapko bhi apne sabhi post ke end me visitors se request jaroor karna hai. Visitors se request karen post ko share karne ke liye, Blog ko Subscribe karne ke liye, Comments karne ke liye, Social Media par share karne ke liye. Kyunki Social Media par share ki gayi post ko search engine bahut jaldi index karta hai. Agar koi bhi user aapki requset ko accept karke aapki post ko share karta hai to isse aapko aur bhi visitors milte hai yaani aape blog par traffic increase hota hai. jisse aapko bahut phayda hoga.


Related Posts :



ليست هناك تعليقات